Mohan Delkar 7 times MP from Dadra and Nagar haveli found dead.

Mohan Delkar 7-time independent MP. Mumbai ki hotel mein dead (mrat) paye gaye.

Mohan Delkar jo indipendent (nirdaliye) 7 bar Dadar or Nagar haveli se loksabha shaansad (Membar if parliament) rahe unki death (mout) ne sabko chounka diya. Mohan Delkar Mumbai ki Marine drive pe ek hotel ke kamre mein dead (mare hue) paye gaye. Unki death ka karan suicide batya jaa raha hai kyunki Mohan Delkar kamre mein pankhe se latke hue paye gaye.

IMG 20210223 172520
Mohan Delkar

Mohan Delkar Mumbai kisi kaam se aaye the. Mumbai mein Mohan Delkar marine drive mein hotel ‘see green view” mein ruke the.Unki suicide ki khabar unke kisi samarthak ne police ko di thi.

Iske bad mouke par jab police phuchi or kamre ki talashi li ko hotel ke kamre se 6 page ka suicide note mila jisme 40 logo ke naam Shamil hai par chounka dene bali baat ye hi ki Mohan Delkar ke kamre se jo suicide note mila wo gujrati mein likha hua hai.

Filhal ye suicide note ko forienshic department bheja gaya hai janha iska jaanch chal rhi hai ki ish suicide note pe Mohan Delkar ki handwriting hai ya nhi.ISke liye foreignshic department ne hotel ke kamre ki 4 ghante (hrs) tak janch ki.

Filhal police ne suicide ke angle se janch ki shuruwat kardi hai.

Mohan Delkar ki family

Mohan Delkar Dadar aur nagar haveli se sansad rahe hai. Unke pitaji (sanjibhai Delkar) congress party se Dadar aur Nagar haveli ke sansad (MP) the. Mohan Delkar ka janam 19 December 1962 mein Dadar aur nagar haveli ke silwasa mein hua tha. Mohan Delkar ki shadi kalaben Delkar se 18 March 1989 mein hui thi. Mohan Delkar ke do bacche hai ek beta hai aur ek beti hai.

IMG 20210223 172508
Member of parliament Mohan Delkar

Mohan Delkar ka political career

Mohan Delkar me BA kiya tha or iske bad unhone apne political (rajnitik) career ki shuruwat mein wo trade union leader bane janjatityon (trible people) logo ke rights (aadhikar) ke liye ladne lage. Ishke baad Mohan Delkar 1986 se 1989 tak youth congress ke general secretary and adhyaksh rahe.

Mohan Delkar 1989 mein pehli bar nirdaliye (independent) Dadar or Nagar haveli se 9th loksabha ka chunav (election) lade or jeet gaye. Iske bad be 7 baar Dadar or Nagar haveli se sansad rahe.

Fire 1991 mein 10th loksabha ka chunav lade Dadar or Nagar haveli se India National Congress party ke pratyasi bankar or unhe dusri br bhi acchi jeet hasil hui 1991 se 1996 tak.

Iske 1998 mein 11th loksabha ka chunav Mohan Delkar ne bhartiya janta party se khade hue Dadar or Nagar haveli se 1999 se 2004 tak.

2004 mein Mohan Delkar ne khud ki party banai Bhartiya Navshakti party (BNP) or 2004 mein wo BNP se loksabha chunav ke liye khade hue aur ish chunav mein bhi unhe jeet hasil hui.

Mohan Delkar ne 2009 mein fire se Indian National Congress ko join kr liya or congress se chunav lade. 2019 mein Mohan Delkar congress se hatt gaye aur iske bad nirdaliye chunav mein khade hue.

Mohan Delkar lagatar 7 bar Dadar aur Nagar haveli se loksabha chunav ke liye chune gaye. Jisme 6 bar unhone jeet hasil ki.

Leave a Reply

%d