New Zealand vs Australia T20 match NZ won by 53 runs.
New Zealand vs Australia first T20 match aaj Hagley oval stadium Christchurch New Zealand mein hua tha. Ish match mein new Zealand team ne 53 run se Australia ko haraya. Devon Conway player of the match rahe unhone 59 balls mein 99 runs banye.
New zealand vs Australia T20 match score
NZ vs AUS match first T20 match February 22 ko 11:30 am pe Start hua. New zealand first inning mein kheli or kafi behtrin run bnaye. New zealand ne 20 over mein 5 wicket pe 184 run banye.
Jisme Martin Guptill 3 ball mein zero run par out ho gaye. Iske baad Seifert (wk) 5 balls pe 1 run banakar out ho gaye. Kane Williamson (captain) 13 balls mein 12 par out ho gaye jisme unhone 2 choukey (4) lagaye. Inke bd Glenn Phillips 20 balls pe 30 run banakar out ho gaye jisme unhone 3 six lagaye. Gems Neesham ne 15 balls pe 3 choukey (4) ke sath 26 run banake out ho gaye.
Inke alawa Mitchell Santer ne 5 balls mein 1 choukey ke sath 7 run banaye or not out rahe. Devon Conway ne ish jeet mein kafi bada yogdan diya or 59 balls mein 10 choukey (4) aur 3 sixer (6) ke sath 167.80 SR (strike rate) se 99 runs banye or 184 runs se new zealand ko jeet hasil hui. Devon Conway ki ish behtrin performance ke sath wo player of the match rahe.
Match ki second (2nd) inning mein Australia kheli. Australia 17.3 over mein 131 runs par all out ho gyi. Australia team se sabse pehle Matthew wade (wicket keeper) 12 balls mein 1 six ke sath 12 run banakar out hue. Inke baad Aaron Finch (captain) two balls pe 1 run pe out hue. Player josh Philippe 3 balls pe 2 run banake out huye.
Inke bad Mitchell marsh jinhone banki players se kafi accha khela or 33 balls pe 45 run banke out hue jisme Mitchell ne 5 choukey (4) aur 2 six (6) lagye. Glenn Maxwell Australia team ek stron player hai par wo ish match mein accha pradarshan nhi kar paye Glenn ne 5 balls pe sirf 1 run banake out ho gaye. Marcus Stoinis ek all rounder palyer unhone 11 balls pe 8 run par out ho gaye jisme unhone 1 chouka (4) lagya. Inke bad Ashton agar ne 13 balls pe 23 runs pe out ho gaye jisme Ashton agar ne 2 choukey (4) lagaye aur 1 six (6) lagaya. Inke baad Daniel sams ek baller hai. Sams ne 3 balls pe 1 par out ho gaye. Jhye Richardson 11 balls pe 11 run par out ho gaye jisme unhone 1 six (6) lagya.
Inke baad Kane Richard ne 5 balls pe 5 run par out ho gaye. Inke sath khel rahe Adam Zampa ne 8 balls pe 13 runs ke sath adam ne 2 choukey (4) lagaye or not out rahe. Australia team 17.3 over mein 131 runs hi bana pai aur 53 run ke sath new zealand se haar gyi.
Ye first T20 match hai aur Australia ke pass abhi kafi time apne loss ko recover krne ke liye. Next T-20 second match newzealand vs Australia Thursday 25th February ko hai jo start hoga 6:30 am. Next T-20 match mein dekhenge ki Australia apne nuksan ki bhalrpai karegi ya ish bar ki tarah 25 February ke Match ki trophy bhi new Zealand le jayegi.
T-20 first match ki winner rahi new zealand jisme kafi behtrin pradarshan ke sath jeet hasil ki.
Ratan Tata Passes Away: The veteran industrialist, aged 86, passed away on Wednesday evening at… Read More
Virat Kohli is one of the most successful and popular cricketers in the world. He… Read More
India is a vast country with a diverse population and culture. Each state and city… Read More
Scroll down for Joining links Mewe Groups Joining Links: Welcome to the mewe groups directory… Read More
GROUPS LINKS ARE MENTIONED AT THE BOTTOM;) MeWe Group Germany is a Next-Generation Social Network… Read More
Group Joining Links are mentioned at the bottom:)The editor In a world where the genuineness… Read More
This website uses cookies.
Leave a Comment