Categories: Uncategorised

Pondecherry mein bhi giri congress sarkar aur chief minister V Narayanaswamy ne kiya walkout.

Pondecherry mein alapmat ke karan giri Congress sarkar aur chief minister V Narayanaswamy ne boating se pehle kiya walkout.

Pondecherry mein congress sarkar pe pichle kafi dino se sankat gehraye rha tha. Pondecherry mein Congress ne DMK ke sath milke bahumat mein aai thi. Pichle dino congress ke 4 MLA our DMK ke ek MLA me resign (ishtifa) de diya tha jiske bad congress alap mat mein aa gai thi. Iske bad raviwar ko congress ke ek MLA aur DMK ke ek MLA ne resign de diya jiske bad congress aur DMK ke gathbandhan ke MLA ki sankhya ab 11 reh gayi aur opposite party ke pass 14 MLA hai.

Chief minister V Narayanaswamy apna resign dete hue.

Jab congress alap mat mein aai thi tab pondecherry chief minister V Narayanaswamy ne kha ki unke pass bahumat hai. Monday ko Vidhansabha mein vishwas bahumat hone se pehle hi Chief minister V Narayanaswamy apni party ke bacche hue MLA ke sath walkout kar gaye. Iske bad speaker ne Elan kiya ki Narayanaswamy sarkar ne bahumat kho diya aur unhone apne Chief minister ke padd se resign kr diya hai.

Pondecherry election ka kya hai poora mamla

2016 mein pondecherry mein election hue jisme vidhan sabha ki total 30 seat hai.Jisme congress ke pass 15 MLA (vidhayak) or sehyogi DMK ke pass 2 MLA. Congress aur sehyogi DMK ne gathbandhan se bahumat spast kiya or pondecherry mein 2016 mein congress sarkar aayi. Jiske bad AINRC ki haar ke baad Chief minister ranga Swami ne resign kiya. 2016 ke Ish election mein AINRC ko 8 seat mili. Iske chief minister V Narayanaswamy chief minister bane.

Chief minister V Narayanaswamy

Pondecherry mein 2021 mein palta game

2016 se ab tak congress ki gadhbandhan se sarkar chal rhi thi lekin pichle kuch dino kafin tanav chal tha jiske bad congress ke 4 MLA aur DMK ka ek MLA ne resign diya. Jisme purv mantri (ex-minister) namichivam ne bhartiya janta party (BJP) join krli. Inke alawa E thipindan congress se resign karke bhartiya Janta party join krli. Ab congress ke pass ghatkar 10 seat reh gayi kyunki ek MLA ko party ne unke anaitik karyon ke karan party se nishkashit kr diya tha to sabko mila ke congress 10 seat or opponent (vipaksh) ke pass 14 seat hai.

Kyunki ap election nazdiki hai aur election ke pehle hi congress alapmat ho gyi hai to sayad iska khamiyaza congress ko aane wale election mein bhugatna padd sakta hai.

Pondecherry mein lagg sakta hai rastrapati Sasan

Pondecherry mein lagg sakta hai rastrapati Sasan kyunki vidhan sabha mein total 33 seat hai jisme total number ke half se ek jayda chiye bahumat banane ke liye yani 16 ya 17 aur dono party bahumat ki sankhya km ek AINRC ke pass 14 or congress ke pass 10 or esi situation mein kisi ki Sarkar satta mein nhi aa sakti. To esi situation mein pondecherry mein lagg sakta hai rastrapati Sasan jab tak ish situation ka koi solution (hal) na nikle.

Pondecherry Vidhan sabha

Pondecherry mein bhi wahi hua jo lockdown se pehle Madhya Pradesh mein . Jo situation pondecherry mein bani wahi madhya pradesh mein bani ab congress sarkar desh ke sirf 5 rajyon mein hai.

Leave a Comment

Recent Posts

“Ratan Tata Passes Away at 86 in Mumbai, Nation Mourns the Loss”

Ratan Tata Passes Away: The veteran industrialist, aged 86, passed away on Wednesday evening at… Read More

2 months ago

Living life like a king : Virat Kohli

Virat Kohli is one of the most successful and popular cricketers in the world. He… Read More

2 years ago

Top Ten Cities to Live in India: A Guide to Health, Wealth, Lifestyle, Food, and Real Estate”

India is a vast country with a diverse population and culture. Each state and city… Read More

2 years ago

My Mewe Groups

Scroll down for Joining links Mewe Groups Joining Links: Welcome to the mewe groups directory… Read More

3 years ago

Mewe Groups|Germany

GROUPS LINKS ARE MENTIONED AT THE BOTTOM;) MeWe Group Germany is a Next-Generation Social Network… Read More

3 years ago

MeWe Group Links|Netherlands

Group Joining Links are mentioned at the bottom:)The editor In a world where the genuineness… Read More

3 years ago