sorry sheru se social media par ki dogs ke liye insaaf ki maang.
Sorry sheru we can’t save you twitter par kafi trend kr rha #sorry sheru. ye ghatna (incident) fir insaniyat ko sarmsar kr dene wali hai.Ish desh mein betiyon ko bachana muskil ho raha tha ab Janwar jo muah se kuch bol bhi nhi sakte unke sath rape jaisi ghatna ko anjam dena kisi haiwan ka hi kaam ho sakta hai. #sorry sheru ye twitter pe kafi trend kr rha hai. #sorry sheru un 40 dogs ke liye insaaf ki appel hai jinke sath ek 68 saal ke bujurg ne rape jaisi ghinoni vardaat ko anjaam diya.
# sorry sheru kya hai poora mamla
Pichle kuch dino hum animals ke sath hone wali ghatnaye sunte aa rhe hai.Esa hi ek aur mamla fir dekhne ko mila.
Ek sabji bechne wale 68 saal ke Ahmad sahi jo Juhu mein sabji bechta hai. Roj raat ko dogs and cats ko meat khilata hai aur jab animals khate hai tab ye ahemad sahi unka rape karta hai. Ahemad sahi ne ek nhi balki 30 se sayda dogs (kutton) ke sath rape kiya hai.
Vijay mohani ko ish ghatna ke baare mein pata chala jo tab unhone ahemad sahi ke khilaf complaint register ki. Vijay mohani NGO chalate hai Bombay animals rights based. Vijay mohani ne saboot ke tour par police ko ek video diya gaya jo us sakhs ne bnaya tha jisne ahmad sahi ko dogs ke sath rape krte dekha. Ish video ke adhar pe police ne ahmad sahi ke khilaf ipc Dhara 377 and 429 ke fir register ki.
Jab ish incident ka ahemad ke ghar walo ko aur aas pass ke logo pata chala to unhone ahmad sahi kafi pitai ki. Ish sharmsar ghatna ko anjam dene ke bad bhi ahmad sahi ka kehna hai dogs ke sath rape karne mein koi apradh nhi hai na hi iski koi saza hai. Police ne ahmad ki mental state ke medical check-up ke liye use hospital bhej diya hai.
Jaise logo ko ish incident ka pata chala social media pe #sorry sheru trend kafi viral ho rha hai. Social medial ke jariye un 30 dogs ke liye insaaf ke maang ki jaa rhi hai. Actor Mithun Chakraborty me pe # sorry sheru pe tweet kiya.
Ye ghatna insaniyat ko maar dene wali hai. Rape jaise sabad sunkar jitna bura lagta hai fir wo kisi insan ke sath ya janwar ke sath. Janwar jo apne dard ko sabdo mein bol bhi nhi sakte hai. Har jagha ahmad jaise log hai. Hum ish samaj ka hissa hai ese mein hmari zimmedari hai ki animals ki suraksha kare hum. Unke sath hone wali esi ghatnayon ko roke.
Agar aap ish news ko padd rhe hai to hum aap se ek choti request krte hai ki aap aapke aas pass ke sabhi animals ka khayal rake taki kahin aur koi ahmad unke sath dushkarma na kar paye.