New zealand vs Australia second T20 match new zealand ne ek bar fir jeet hasil ki 4 runs se
New zealand vs Australia second T20 match mein new zealand ne 4 runs se jeet hasil ki. Ish bar dono team mein zabardast takkar rahi. First T20 match mein newzealand 53 run se jeeti thi. Ish bar sirf 4 runs se. Jeet ka aankda bhout hi kam tha. Team Australia bhi acchi pari kheli. Second T20 match ke player of tha match Martin Guptill rahe. Unhone 50 balls par 97 run banakar kafi acche khele.
NZ vs AUS second T20 match score card
NZ vs AUS second T20 match 25 February ko dophar 2 baje university oval ground ,Dunedin New zealand mein hua. First inning mein new zealand team kheli. New zealand me 20 over mein 7 wicket pe 219 run banaye. First T20 match se jayda accha score newzealand ka second T20 mein raha.
Sabse pehle Martin Guptill and Seifert aaye. Martin Guptill ne first T20 match mein koi khass Kamal nhi dikhya tha. Par ish par Guptill ka naya Josh dekhne ko mila unhone 50 balls pe 4 choukey (4) aur 8 sixer (6) ke sath 97 runs banaye. Iske Seifert ne pari kheli par Seifert 6 balls par 3 run se out ho gaye.
Kane Williamson (captain) ne shuru mein accha khela aur unhone 35 balls pe 2 choukey (4) aur 3 sixer (6) ke sath 53 runs pe out ho gaye. Inke bad Gems Neesham ne pari kheli and kafi accha performance raha Neesham ka inhone 16 balls pe 1 chouka (4) aur 6 sixer ke sath 281 ki strike rate se 45 runs banaye our aakhir tak not out rahe. Glenn Phillips ne 6 balls pe 1 sixer ke sath 8 runs pe out ho gaye.
Deavon Conway jo first T20 match ke player of the match the wo ish bar 3 balls pe 2 runs par hi out ho gaye. Inke bad Santer aaye jo first ball par hi zero runs pe out ho gaye. Santer me bad Southee ne pari kheli inhone 3 balls pe 1 choukey ke sath 6 runs par out ho gaye. Jamieson zero runs pe not out rahe. Ish match mein Guptill Martin player of the match rahe.
Second inning mein Australia team kheli. First T20 match se second T20 match mein Australia team ki performance kafi behtrin raha. Australian ne second T20 match mein 20 over mein 8 wicket ke sath 215 runs banye. Australia team se first Matthew wade (wicket keeper) and Aaron Finch (captain) aaye. Matthew 15 balls pe 3 choukey aur 1 sixer ke sath 24 runs pe out ho gaye. Aron finch 14 balls pe 1 choukey ke sath 12 runs pe out ho gaye. Inke bad josh Philippe aaye jo accha khele. Philippe ne 32 balls pe 2 choukey and 3 sixer ke sath 45 runs par out ho gaye.
Inke bad Glenn Maxwell aaye jo 5 balls pe 3 runs par out ho gaye. Marcus Stoinis ne ish bar kafi shandaar khela. Unhone 37 balls pe 7 choukey (4) or 5 sixer (6) ke sath 210 strike rate se 78 runs par out ho gaye. Ashton agar first Ball pe zero runs le out ho gaye. Inke bad Mitchell Marsh bhi first Ball pe zero run pe out ho gaye.
Daniel sams bhi accha khele. Inhone 15 balls pe 4 sixer and 2 choukey ke sath 41 runs par out ho gaye. Last Jhye Richardson and Kane Richardson pari kehle. Jhye Richardson 1 ball pe 1 choukey ke sath 4 rau par not out rahe and Kane zero run par not out rahe.
Second T20 match mein New zealand me 4 runo se jaat gayi. par abhi bhi Australia ke pass time hai ki wo apne loss ki bharpai kr sake. First T20 and second T20 match me bad third T20 match Australia team liye kafi challenging rahega.
Third T20 match 3 March Wednesday ko subha 11:30 am se suru hoga.