Janamashtami ka upwas rakhte ho to kare ye kaam hogi krishna ji ki kripa.

Janmashtami par krishna ji ko khush karne ke liye kare ye kaam.

IMG 20210830 125032
krishna ji

Janmashtami ke din bhagwan krishna ji ka janam hua tha. Ye din poore India bade hi bhavya tarike se manaya jata hai.  Ish din bhout saare log krishna ji ko prasann krne ke liye upwas rakhte hai. Krishna janamashtami ke din upwas rakhne ke sath kuch baaton dhyan rakhein.

1. Janamashtami ke din gay ko chara khilayen kyonki bhagwan krishna khud ek gwale the aur unhe gaye atyant priye hai. To ish din gaye ki seva karna ati subha mana jata hai. Isse ghar mein sukha shanti bani rehti hai.

IMG 20210830 125143
krishna ji

2. Janamashtami ke din bhagwan ko mishri makahan ke sath panjhri ka bhog lagaye. Bhagwan krishna ko panjhri bhout pasand hai.

3. Janmashtami ke din tulsi patta ko na tode kyonki tulsi mata lakshmi ka vaas hai aur maa laxmi vishnu ji (krishna ji) ki patni hai. To aap tulsi patta ek din pehle tod kar rakhle.

4. Janmashtami ke din chawal na khaye.

5. Janmashtami ka upwas raat ko 12 baje pooja sampann kamre hi khole. Bhagwan ka Janam raat 12 baje hua tha to upwas raat 12 baje ke baad hi khole.

6. Janmashtami ka upwas krte hai to poore din brahmcharya ka palan kare.

7. Janmashtami ke upwas rakhne walon ko ish din lehsun pyaza ka sevan nhi karna chiye. Krishn ji ko tamashi bhojan pasand nhi. Vrat mein pyaz lehsun ka sevan krne se vrat sampann nhi hota hora aur mann mein kalesh hota hai.

8. Janmashtami ke kare dan punya. Ish din gareebon ka daan kare bhoonko ko bhojan karayein. Isse ghar mein barkat hoti hai.

9. Janmashtami ke din krishna ji ka kare bal shringar. Isse bhagwan bhout khus hote hai. Jinhe santan nhi hai agar bhagwan ke bal roop ka sringar karke sacche man se prathna kare to jald hi unhe santan sukha ko prapti hoti hai.

10. Janmashtami ke din na kare kisi ka apman waise to humne kabhi kisi ka apaman nhi karna chiye. Agar kisi man dukhayenge to bhagwan ka bhi mann dukhega isliye sabka samman kare.Isse krishna ji kripa sada aap par bani rahegi. Wo aapko kabhi girne nhi denge.

Leave a Reply

%d