‘Modi job do’ trending on twitter know why ?

Modi job do’ twitter par 6.4 million se jayda tweet.

‘modi job do’ hastag aaj global hashtag ban gaya. Desh ki youth aaj Prime Minister Narendra Modi se jobs ke liye demand kr rhi hai. ‘Modi job do’ hashtag tweeter par itni tezzi se trend kr rha hai ki ishpe ab tak 6.4 million se jayda tweet ho chuke hai or ye hashtag ab global level pe pahuch gaya.Desh ki population ka ek bada hissa youngester (yuva barg) ka hai jo aaj modi sarkar se rojgar ki demand kar rha hai.

IMG 20210226 001145
Jobless youngsters demand jobs #’modi job do’

Rojgar ek badi samasya

Modi sarkar ke liye rojgar ke bada mudda hai. Desh mein jis tezzi se population increases ho rhi hai usme berojgari ki samasya badd rhi ha. Par jabse corona virus ki suruwat hui aur desh mein lockdown laga. Tabse desk economy par kafi gehra asar hua. Jiske karan berojgari hai wo aur bad gayi. Ish saal berojgari ki rate ne pichle 45 saal ka record todh diya hai.

CMIE (Center For Monitoring India Economy) ki report ke hisaab se per month unemployment (berojgari) rate badti jaa rhi hai. January 2021 mein unemployment rate 6.53 record kiya gaya. Ishke baad 24 February 2021 ko unemployment rate 7.0 % record kiya gaya. Ye data har din badh raha hai. Desh mein har din berojgaron ki sankhya. Badti jaa rhi hai.

IMG 20210226 001342

Modi Sarkar Se Youngsters Ki Demand

‘modi job do’ har youngsters modi se yahi demand kr rha hai. Jitne bhi berojgar hai, students hai jo kisi compitition exam ki tyari kr rha hai. Wo sabhi yuwa barg (youngsters) sarkar se demand kr rhe hai news Chennal ke jariye social platforms ke jariya ki government apne saare exam time pe le.filhal central ya state level pe vaccancy bhout kam nikal rhi hai aur jo nikal rhi hai. Ya to unke exam ki date nhi aati aur agar exam ho gaya to result sahi time pe nhi aata. Results aane ke baad kafi time tak posting nhi aati. Kafi saare log in mese ese hai jo kisi na kisi exam ko crack kr chuke hai par unki posting hi nhi aai.

Kafi saare students ese hai jo graduation ke bad kafi time kisi particular exam ki preparation kr rhe hai. Par exam ka abhi to koi notification hi nhi aaya. Agar abhi hum bt kare mppsc ke exam ki to ye exam last 2018 mein hua tha. Iske bad 2019 mein ye mppsc la exam hi nhi hua firr MPPSC ka prelims exam 2020 January mein hua tha iske bad iske mains ke exam ka abhi tak kuch bhi final hai. Ese mein students ke saal waist (barbad) hote hai sath mein paise bhi kharch hote hai. Esa lagbhag har exam mein ho rha hai.

IMG 20210226 000732

Corona lockdown ke bad private sector mein bhi kafi saare logo ko jobs de nikal diya gaya. Jo students college finale year mein hai wo sabhi palcement ka intzaar kr rhe hai aur agar palcement nhi hota to government jobs ki traf rukh kr lete hai. Ese mein agar sarkari vacancies ke exam , results aur posting time pe nhi hoti to students ke hosle toote hai.

Desh ka har berojgar Pm modi ji se yahi demand kr rhe hai ki saare exams time pe ho.Vaccines time pe nikle.Desh mein jayda se jayda companies nivesh Karein taki private sector mein bhi jobs bade.

Actress Dawara bhaskar support ‘Modi job do’

‘Prem Ratan Dhan Payo’ movie mein salman ki behan ka kirdar nibhane walk actress Swara bhaskar bhi youngsters ki support mein unhone bhi ‘modi job do’ hastag ko support kiya. Swara me isse pehle farmer protest and Shaheen bagh wale muddon pe bhi apni pratikriya (reaction) jatai hai. Or iss bar be jobless logo ke sath khadi hui hai.

Ab dekhna ye ki youngsters jo PM modi se jobs ke demand kr rhe hai. ‘modi job do’ ka hashtag tweeter pe trend kr rha hai jispe 6.4 million tweets kiye jaa chuke hai. PM modi ji ka kya reaction aata hai.

Leave a Reply

%d