Santosh Anand mashoor lyricist aarthik tangi ke karan 81 saal ki umer mein indion idol 12 mein nazar aayenge
Santosh Anand mashoor lyricist jinhone 90’s mein ek se badkar ek hit song diye. ‘ek payar ka nagma’ jaisa super hit gaane ki lyrics likne wale santosh Anand aaj umer ke ish dor mein jab be khud bhi saririk rup se lachar hai ab wo Indian idol 12 mein sangeetkar pyarelal ke sath nazar aane wale hai.Unki story jis kisi ne bhi suni us har ke saksh ki aankhein aaj nam hai.
Santosh Anand mushkilon ka samna kr rhe hai jiske karan unhe 81 varsh ki umer mein Indian idol 12 mein aana pada
Santosh Anand ke jawan bete Bahu ne 2014 mein train ke aage kud kr suicide kr liya tha jisme unse 11 page ka ek suicide note bhi likha tha. Santosh Anand ko shadi ke 10 bad beta hua tha uska naam unhone sankalp rakha.
Santosh Anand ka beta grah mantralya mein IAS adhikariyon ko socialogy and criminalogy padate the. Wo kafi mansik roop se pareshan rehte the jiske chalte unhone suicide kr li or 10 page ka suicide note lika jisme kai bade adhikariyon pe carodo rupee ki gadbadi ka aarop lagya or unhe suicide ke liye majboor kiya gaya tha.
Zindgi ke ish dor mein Jawan beta kho dena or uske bd aarthik tangi (fanacial crises) paison ki kami jeevan ka guzara bhi nhi ho paa rha. Santosh Anand ne btaya ki wo bhout karz mein hai. Unke pass ab bill bharne ke bhi paise nhi bacche na kisi se madad mangi pareshaniyan itni badd gayi ki majboor hoke santosh aanad ne Indian idol 12 mein aane ka faisla liya. Unki kahani jis kisi ne bhi suni un sabki aankhein nam hai.
Santosh Anand ka bollywood safar
Santosh Anand Sikandrabad se hai. Unhone apne career ki shuruwat film Purab Aur Pachim se ki thi jo 1970 mein release hui thi. Iske bad unhone film 1972 mein film shor me liye apna favourite song “ek pyara ka nagma’ hai” jise mukesh aur lata Mangeshkar ne gaya tha. Ye song kafi hit hua tha or aaj bhi ye song logo bhout pasand aata hai.
Iske alawa santosh Anand ne “ye galiyan ye chobara” , “tera sath hai to”,”megha re megha re”, aur “main na bhoolunga” jaise kafi hit song likhe. Sontosh Anand ji ko “main na bhoolunga” and “aur nhi bus aur nhi” song ki lyrics ke liye best lyricist ka pehla Filmfare award mila tha. Last Film fare award santosh Anand ji “mohbbat hai kya cheez” gaane ke liye mila tha.
Santosh Anand ke liye singer Neha Kakkar ne madad ka hath badya
Santosh Anand ki heart touching story sunker singer Neha Kakkar ne madad ka hath badya aur 5 lakh rupaye dena ka Elan kiya aur santosh Anand ke liye ek payar ka nagma hai song ki kuch line gai.
Santosh Anand ke actress nagma ne kiya tweete
Santosh Anand ko Indian idol 12 mein dekh kar actress nagma ne unhe sabke liye ek inspiration batya unki himmat or jajbe ki sarahna ki or unke liye tweet kiya nagma ne likha hai “santosh Anand ji lyricist aapko dekh ke man bhout bhabhuk hua inhone “ek pyara ka nagma ” likha tha. Unke bete or Bahu ne suicide kr liya tha or 10 saal ki mannaton ke bd unke bete ka janam hua tha. Uske bd bhi wo kehte hai ki hosla nhi tuta hai tang tuti hai. Kripya ish song ko kabhi na bhule kr unhe ish song ke jariye hamesa jinda rakhe.
Santosh Anand ji se kuch music composer ne unke purane gane mange jo unhone like hai.santosh Anand ko 81 varsh ki umer mein bhi sangharsh kr rhe hai or unki ish himmat ko ish jajbe ka aaj saara desh unke hosle ka samman karta hai.